Nabi E Akram ‎صلى الله عليه وسلم ‏Ki Aadat E Mubaraka Jumerat K Din Safar Karna ‎0⃣9⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴




*🥀 11vi manana kesa 🥀*




*❀PART 09*

*​بسم الله الرحمن الرحيم​*
*​الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ​*

*Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ki Aadat E Mubaraka Jumerat K Din Safar Karna*
 
*Hadees :* 

“Hazrat Kaab bin Malik رضي الله عنه Se Marvi Hai k Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Jumeraat k Din Ghazwa E Tabook k liye nikle Aur Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Jumeraat k roz hi Safar Karne ko Pasand Farmate the”

*(Sahi Bukhari Vol : 03, pg : 98, Kitabuz Jihad, Hadees : 2950)*

In Hadees E Sahi Se Saabit Hota hai k Mehfil E Milad Sharif Mehfil E Gausiya 11vi Sharif Razzab Sharif wagirah k liye Din Mukarar karna Jaiz O Mustahab Amal Hai Jo hargiz biddat Aur Gunaah nahi 

Balki Waaj K liye to Din Mukarar Karna Jalilul Qadr Sahabi Ibn Masood رضي الله عنه ki Sunnat Aur Tarika Hai lihaja Din Mukarar Karna Urs wagairah yaa Deegar nek kaam k liye ye Is hadees Se uska jawaz saabit hai aur Iski Asl Sunnat Se bhi mili hai. 

Yaha Humne 03 Hadees E Sahi bataur E Istedlaal Pesh ki hai aur iske bahot se example diye jaa sakte hai jo log In Aamal ko biddat kahte hai wo khud Wakt Mukarar karte hai jaise Devband me tableegi Jamaat 03 Din 10 Din 40 Din ka wakt Mukarar karte hai, 

Gair Mukallid k yahan bhi yehi haal hai 40 Days English Course aur Salana jalse k liye Stage Date fix karke lagana etc. 

Shadi Waleema Ya deegar Phir Buzurgan E Deen k liye ye tamam Amal Haram Biddat kyu kar hogaya ? 



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

मुसीबतों के आने की वजह 21

नज़रे मुबारक 17

सय्यिदुना ग़ौसे आज़म रदिअल्लाहु तआला अन्हु की तशरीफ़ आवरी के मुबारक हालात 18