11vi Sharif Manane Ka Jawaz Mukalifeen Ki Kutoob Se 1⃣8⃣-A

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴




        *🥀 Gyarvi Manana Kaisa 🥀*




*❀PART 18-A*

*​بسم الله الرحمن الرحيم​*
*​الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ​*

*11vi Sharif Manane Ka Jawaz Mukalifeen Ki Kutoob Se*
 
Shah Ismail Dahelvi Sahab Jinko Wahabi Devbandi Dono Maante hai jinhe baani e Wahabiyat Al Hind bhi kaha jaata hai wo Fatiha Isaal E Sawab K Mutallik Farmate hai 

*Pehla Ifada* 

“Taalib ko chahye k pehle baa waju 02 jaanu bethke is tarah k buzurgo me jaise Moinudin Sanjari رحمة الله عليه, Khwaja Bakhtiyar Kaki رحمة الله عليه​ wagairah hazrat kay naam ka Fatiha padhke bargaah e khudawandi me In buzurgo se tawasut aur waseele se ilteza kare nazar aur niyaz aur beandaz aur jaari beshumari k saath apne kaam ka fateh k liye dua kare”

*(Seerat E Mustakim Pg : 215)*

Khud Ulema E Devband K Peer O Murshid Haji Imdadullah Muhazir Makki Sahab Apni Kitab Me Likhte Hai

“Yeh Hayyate Murwazza Isaal E Sawab Kisi Kaum K Saath Makhsoos Nahi Aur Gyarvi Sharif Hazrat Gaus E Paak رحمة الله عليه​ Ki Aur Duswa, Beeswa, Chehloom, Shashmahi, Salana (urs) Wagairah Aur Tosha Hazrat Shaykh Ahmad Abdul Haq Rudaulvi رحمة الله عليه​ Aur Sah Mani Hazrat Shah Boo Ali Kalandar رحمة الله عليه​ Wa Halwa E Shabe Baraat Wa Deegar Tarika Isaal E Sawab k Isi Kayde par Mabni Hai”

*(Faisla Hafte Masla Pg : 08)* 



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

मुसीबतों के आने की वजह 21

नज़रे मुबारक 17

सय्यिदुना ग़ौसे आज़म रदिअल्लाहु तआला अन्हु की तशरीफ़ आवरी के मुबारक हालात 18