Kya Gyarvi Manana Biddat Hai0⃣1⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴




        *🥀 Gyarvi Manana Kaisa 🥀*




*❀PART 01*

*​بسم الله الرحمن الرحيم​*
*​الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ​*
     
*Is Celebrating Gyarvi Is Permissible ?* 
*Kya Gyarvi Manana Biddat Hai ?* 
*Is Gyarvi A Biddah ?*
 
*Introduction :* 

Ahle Sunnat Wa Jamaat Puri Dunya Me Buzurgan E Deen k Khas yaad Me Din Manate Hai khwah Sayyidna Gaus Us Saqlain Shaikh Abdul Qadir Jilani Al Baghdadi رحمة الله عليه​ ki 11 vi Manate Hai, Sultanul Hind Khwaja Moinudin Hasan Sanjari Chisti رحمة الله عليه​ Ki Chatti, Aala Hazrat Imam Ahle Sunnat Ahmad Raza Khan رحمة الله عليه​ ki 25vi Manate Hai aur isi tarah aur bhi Buzurgan E Deen k Uroos Sharif manate Hai In Tamam Ka Talluk Isaal E Sawab Se Hai aur unka Zikr Kar unhe Yaad karna hai unki talimat ko aam karna hai.

Jisme Khiraj E Aqeedat Buzurgan E Deen Ki Bargaah Me Hadiya Tohfa E Sawab Pesh Karte Hai Khwah Quran Khwani, Takseem E Langar, Tazkira E Auliya Buzurgan E Deen ki Halat Bayan Kar Ijtemat Munakkid kiye jaate hai. 

Ye Bhi Badmazhab Wahabiyo ko Hazam Nahi Hota Aur Isko Bhi Biddat Kahte Hai Shirk Kahte Hai Aur Aam Musalmano se Dalil Maangte Hai k iska Saboot Pesh karo Quran Aur Hadees Se 11Vi Sabit Karo etc. 

Aam Musalman Direct Dalil k chakkar me ulajh jaata hai Islam Me Kuch Bunyadi Usool Hai jinka Jaan Na Har ek Musalman ko jaruri hai warna hoga ye k har Bunyaad foundation hi Kori khokhli ho to phir aisa banda aata hai aur ummat par Fatwa E Biddat Shirk lagata hai. 

*Note :* 

Ahle Sunnat Wa Jamaat k Maan ne waale yaani Sunnio ko bhi chahye wo jo amal karte hai uski us amal k mutabik Haisiyat Shariat me us amal ka kya mansab darja hai us tak kare aur uski dalil rakhe us mutabik amal kare aisa naa ho k bas kar rahe hai aur khud ko naa pata k is amal ka darja Shariat me kya hai aur Jo amal Mustahab hai usko Mustahab tak rakhe farziat wajibat tak naa le jaaye.




👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

मुसीबतों के आने की वजह 21

नज़रे मुबारक 17

सय्यिदुना ग़ौसे आज़म रदिअल्लाहु तआला अन्हु की तशरीफ़ आवरी के मुबारक हालात 18