4⃣Logo Ko Khana Khilane Ka Saboot 1⃣6⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴




        *🥀 Gyarvi Manana Kaisa 🥀*




*❀PART 16*

*​بسم الله الرحمن الرحيم​*
*​الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ​*

*4⃣Logo Ko Khana Khilane Ka Saboot*
 
Musalman Khiraj E Aqeedat Me Logo ko Khana Khilate hai aur us khilane ka Sawab Un Auliya Allah ki bargaah e Aqdas me Hadiya tan pesh karte hai wahabi Shaykh Chilli isko bhi biddat kahte hai. 

*Hadees :* 

Hazrat Abdullah Ibn Amr رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne farmaya Nabi E Rehmat صلى الله عليه و آله وسلم se Poocha Gaya Konsa Islam Behtar Hai ? 

Nabi E Rehmat صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya Logon Ko KHANA KHILAO Aur Jisse Jaante Ho Jise Na Jaante Ho Sabko Salaam Karo”

*(Sahi Bukhari, Vol : 01, Kitab No 02 Kitab Al Imaan, Hadees : 27)* 
*(Sahi Bukhari Hadees : 6236)*
 
*(Imam Bukhari Al Adabul Mufrad Vol : 01, Kitab No 42 Kitabus Salam, Hadees : 1013) Albani ne bhi is hadees ko sahi likha hai.)*

*(Jamae Tirmizi, Vol 02, Baab : Khana Khilane Ki Fazilat Ka Bayan, Hadees : 1855)*

To Pata chala Logo ko Khana Khilane Ki Asl bhi Hadees E Sahi Se paayi gayi to ab ek saath hazaro Musalmano ko Khana Khila Diya jaaye aur aqeeda ye ho k khana khilane ka sawab Buzurgan E Deen ki Arwaah E Mukaddasa Ko pahuchega jisko Langar kaha jaata hai kya ye haraam hogaya ? 
Allah Taala Aql de. 



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

मुसीबतों के आने की वजह 21

नज़रे मुबारक 17

सय्यिदुना ग़ौसे आज़म रदिअल्लाहु तआला अन्हु की तशरीफ़ आवरी के मुबारक हालात 18