Seerat e gaus e Azam 1⃣3⃣

ЁЯПБЁЯФ┤ЁЯПБЁЯФ┤ЁЯПБЁЯФ┤ЁЯПБЁЯФ┤ЁЯПБЁЯФ┤




        *ЁЯеА Seerat e Ghous e Azam ЁЯеА*



                      *Part:-13*
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
*Faize Mustafvi Alaihissalatu Wassalam Aur Murtazvi Razi'allahu ta'ala anhu*

♡Huzoor Saiyyadana Gausussqlain, Gaisul-Kaunen Razi'allahu ta'ala anhu farmate hain ki main halaty bedari mein qabl az Namaze Zuhar Shahanshahe Kaun w Manka , Sarkare Mursala'n , Nabee E Gaib Da'n Muhammad Mustafa Sallallahu alaihi wasallam kee ziyarat se musharraf hua tou Rasool E Aazam Sallallahu alaihi wasallam ne mujhe irshad farmaya 

♤Rasool E Aazam Sallallahu alaihi wasallam Ae Mere Bete! tum wa'az w Naseehat kyon nahi'n kartey?
Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu ( arz karte hue ) Ae Mere Muzurgwar Walid Majid! Main Ajmi shakhs hoon fushae Bagdad k samne kis tarah taqreer karoon.

♧Rasool E Aazam Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ( Hukm farmate hue ) apna Munh khole Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu ( Hukm kee tameel kartey hue ) Mane Munh khola Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ( Saat 7 Martaba Lu'aabe Mubarak Munh mein thuthkar kar farmaya ) jao ab wa'az w naseehat kiya karo aur logon ko neki kee dawat do Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu :

♡Baad azeen Zuhar kee Namaz se farig hua hee tha ki Hazrat Saiyyadana Ali Al-Murtaza Razi'allahu ta'ala anhu Tashreef lae Hazrat Ali Al-Murtaza Karamallahu wajhahoo : ( Shafqat se ) Beta! apna Munh khol! Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu : ( Aadab Baja late hue ) maine Munh khola Hazrat Ali Al-Murtaza Razi'allahu ta'ala anhu : cha 6 Martaba Munh mein thuthkar kar farmaya wa'az w naseehat karo 

♧Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu ( Niyaaz Mandana tareeq se ) Huzoor e wala! aapne sath 7 martaba munh mein kyon nahin thuthkar?  

♡Hazrat Ali Al-Murtaza Karamallahu wajhahoo : Adaban Ma'aa Rasoolillahi Rasool E Pak Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam k Adab k peshe nazar Rasool E Aazam Sallallahu alaihi wasallam : Ae Beta! yah khil'at pahano Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu : Aali Jaah! Yah kaisi khil'at hai?
Rasool E Aazam Sallallahu alaihi wasallam :

 *HAZEHEE KHIL'ATU WALA YATIKA MAKHSOOSHOO BIL-KUTBEEYATE ALAL-AULIYAE*

♧Yah tumhari Vilayat kee khil'at hai jo ki Aqtabe Auliya se Makhsoos hai Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu : 
Baad arzi unke fuyooz w barkaat se maine haqaiq w ma'aarif ko jaan liya. Halq-e-Iradat wasee'a ho gaya iradatmand ita'at w ibadat kee taraf mayal hotey gaye aur unhone apne gharon ko zikr e Ilahi se aabad karna shuroo kar diya...

*ЁЯУУRef ( Bahajatul-Asraar safah , 25 , 26, Qalaidul-jawahir Safah . 13 , Safeenatul-auliya Safah . 64 , Akhbarul-Akhiyaar farsi , safah 18 , Tohafa Qadariya , Safah . 109 )*



ЁЯССЁЯССЁЯССЁЯССЁЯССЁЯССЁЯССЁЯССЁЯССЁЯСС
*ЁЯПБ MASLAKE AALA HAZRAT ЁЯФ┤*

рдЯिрдк्рдкрдгिрдпाँ

рдЗрд╕ рдм्рд▓ॉрдЧ рд╕े рд▓ोрдХрдк्рд░िрдп рдкोрд╕्рдЯ

рдоुрд╕ीрдмрддों рдХे рдЖрдиे рдХी рд╡рдЬрд╣ 21

рдирдЬ़рд░े рдоुрдмाрд░рдХ 17

рд╕рдп्рдпिрджुрдиा рдЧ़ौрд╕े рдЖрдЬ़рдо рд░рджिрдЕрд▓्рд▓ाрд╣ु рддрдЖрд▓ा рдЕрди्рд╣ु рдХी рддрд╢рд░ीрдл़ рдЖрд╡рд░ी рдХे рдоुрдмाрд░рдХ рд╣ाрд▓ाрдд 18